Friday, July 31, 2015

diwana maan

aaj cha hai gungunae ko,
koi apni dhun banane ko,
rehta hu sambhal ke duniya se
koi rok na agey ane ko|
aaj kuch hua aisa 
maan itra utha mera
jane wo kya baat thi 
jane wo kya baat hai
jo bolti hai mujhe
tu hai aur tu rahega
pareshan hu jitna bhi
par ji chata hai muskurane ko
shayad ye meri guptgu koi na padhe
par kya harz hai dikhane me|
Ab likhte hue ye khyal aya
kitne armano se bhari thi meri jholiya 
koi halat ke karan chut gayi
aur kuch hume manjur nhi tha
par ab toh lagta hai 
armano ki potli bande koi aya chupke se
aur lauta gaya mujhe khoya hua mera maksad
aj cha hai fir gungunae ko ||

No comments:

Post a Comment